Savera ho gaya dekho Andhera ho kho gaya dekho Sunhali dhoop aayi hai Nayi har baat laayi hai Nayaa din phir ujale se Dharaa ko dhogaya dekho Savera ho gaya dekho
Ye panchhi cha chahate hai Naye kuch geet gate hai Jo aalas tha bhara tan me Kahi ja so gaya dekho Savera ho gaya dekho
Kahi par daal hilti hai Hava phulo se milti hai Uttho, aangan mai khusiya aaj Suraj ho gaya dekho Savera ho gaya dekho